||Doha||
Bandaun santoshi charan riddhi-siddhi daataar.
Dhyaan dharat hi hot nar duhkh saagar se paar.
Bhaktan ko santosh de santoshi tav naam.
Krpa karahu jagadamb ab aaya tere dhaam.
Jai santoshi maat anupam | Shanti daayani roop manoram ||
Sundar varan chaturbhuj rupa | Vaish manohar lalit anupa ||
Shwetambar roop manhaari | Maa! tumhari chavi jag se nayari ||
Divy swarup aayat lochan | Darshan se ho sankat mochan ||
Jai ganesh ki suta bhavani | Ridhi sidhi ki putri gyani ||
Aagam aagochar tumhari maya | Sab par karo kripa ki chaya ||
Naam aanek tumharo mata | Aakhil vishv hai tumko dhayata ||
Tumne roop aaneko dhare | Ko kahi sake charitra tumhare ||
Dham aanek kahan tak kahiye | Sumiran tab karke sukh lehiye ||
Vindiyachal mai vindiyavasini | Koteshwar saraswati suhasini ||
Kalkate mai tu hi kali | Dusht nashini mahakarali ||
Samhal pur bahuchara kahati | Bhaktjano ka dukh mitati ||
Jwala ji mai jwala devi | Pujat nitay bhakt jan savi ||
Nagar bambai ki maharani | Maha Lakshmi tum kalyani ||
Madura mai meenakshi tum ho | Sukh-dukh sabki sakshi tum ho ||
Rajnagar mai tum jagdambay | Banee bhradkali tum ambe ||
Pavagadh mai durga mata | Akhil Vishav tera yash gatta ||
Kashi puradhishwari mata || Aaanpurna naam suhata ||
Sarwanand karo kaliyani || Tumhi sharda amrit vani ||
Tumhari mahima jal mai thal mai || Dukh darid sab meto pal mai ||
Jete risiwar aur munisha || Narad dev aur devesha ||
Es jagati ke nar aur nari || Dhayan dharat hai maat tumhari ||
Japar kripa tumhari hoti || Veh patta bhakti ka moti ||
Dukh darid sankat mit jata || Dhayan tumhara jo jan dhayata ||
Jo jan tumhari mahima gave || Dhayan tumhara kar such pave ||
Jo maan rakhe sudh bhavana || Taki puran karo kamna ||
Kumti nivari sumati ki datri || Jayati Jayati Mata Jagdhatri ||
Sukarwar ka diwas suhavan | Jo vart kare tumhara paven ||
Guud chole ka bhog lagave | Katha tumhari sune sunnave ||
Vidhivat puja kare tumhari | Phir Prasad pave subhkari ||
Shakti samrath ho jo dhan ko | Dan dakshina de vipran ko ||
Ve jagti ke nar aur nari | Maanvanchit phal pave bhari ||
Jo jan sharan tumhari jave | So nishchaye bhav se tar jave ||
Tumharo dyan kumari dhayave | Nishchaye maanvanchit var pave ||
Sadhva pooja kare tuhari | Amar suhagin ho wo nari ||
Vidhva dhar ke dhyan tumhara | Bhavsagar se utre para ||
Jayati jayati jai sankat harni | Vidhan vinashan mangal karni ||
Hum par sankat hai aati bhari | Vegi khabar lo maat hamari ||
Nishidin dhayan tumharo dhayta | Dehi bhakti var hum ko mata ||
Yeh chalisa jo nit gave | So bhavsagar se tar jave ||