|| Doha ||
Shree guru pada sumraan karun gauri nandan dhyay |
Varno mata Jeen yash, charno sheesh navay ||
Jaanki ki adbhot chavi shobha warni naa jaai |
jo nit sumre maai ko kasht duur ho jaaye ||
|| Chopai ||
Jai shree jeen bhagtan sukh kari | namo namo bhagtan hit kari |
durga ki tum avtara, sakal kasht tu meit humara |
maha-bhayankar tej tumhara, mahishasur sa dusht sanghara |
Kanchan chatra sheesh paar sohe, dekhat rup charachr mohe |
tum shatri-ghar tan-ghar linha, bhakto ke sab kaaraj kinha |
maha-shakti tum sundar bala, daarpat bhoot prêit jum kala|
Bramha vishnu Shankar dhyave, rishi muni koi paar naa pave|
Tum gauri tum sharda kaali, rama lakshmi tum kapali|
Jagdamba bhavro ki rani, maiyaa maat tu maha-bhawani|
Sat paar tje jeen tumgeha, tyaga sab se shaan me neha|
Maha-tapasya karni thani harsh khaas tha bhai gyani|
Piche se aakar samjhai, ghar waapis chal maa ki jai|
Bahut kahi par ek naa maani, tab harsha yu uchari baani|
Mein bhi bai ghar nahi jau, tere saath ram gun gau|
Alag alag tap sthal kinha, raen diwas taap mein chira-dinha|
Tum tap kar durgtava paya, harsh naath bhairav ban chaya|
Wahan singh khadak kar chamke, mahatej bijli sa chamke|
Chakra, gada, trishul viraje, bhaage dusth jab durga jaage|
Mugal badshah chadkar aaya, saina bahut sajja kar laya|
Bahirav ka mandir tudwaya fir woh is mandir par dhaya|
Yeh dekh pandey ghabraye, kari stuti maat jagaye|
Tab mata tu bhore chode, saina sahit bhaage ghode|
Bal ka tej dekh ghabraya, jaa charno mein sheesh navaya|
Shama yaachna kini bhari, kaat jeen meri sab bimari|
Sone ka woh chatra chadaya, tel savaman aur bandhaya|
Chamak rahi kalyug mein mai, teen lok mein mahima chayi|
jo koi tere mandir aawe, sache man se bhog lagawe|
Choli wastra kapur chadhawe, manowanchit purn fal paawe|
Kare aarti bhajan sunawe, so nar shobha jag mein paawe|
Shekha waati dham tumhara, sundar shobha nahi sumhara|
Aswani maas navrata maa hi , kai yaatri aawe jahi|
Desh desh se aawe rela, chait maaas mein laage mela|
Aawe uuth car bas laari, bheed lage mele mein bhari|
Saaj baaj se karte gaana, kai mard aur kai janana|
Jaat jhadula chadhe apara, sawa mani ka pau na para|
Madira mein rehti matwali, jai jagdamba jai maha kali|
jo koi tumhre darshan paawe, mauj kare jug-jug sukh paawe|
Tumhi humari pitu aur mata, bhakti-shakti do he data|
Jeen chalisa jo koi gaawe, so sat path kare karwawe|
Maiya Naiiya paar lagawe, sewak charno mein chit laawe|
|| Doha ||
Jai durga jai ambika jag jannani giri rai|
Daya karo he chandika banyu shish nawaye||