Suraj Ki Garmi Se Jalte Huye Tan Ko

Jaise, Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai,
Main jab se sharan teri aaya, mere Ram

Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya

Bhataka hua mera man tha koi
Mil na raha tha sahara
Laharon se ladti hui naav ko jaise,
Mil na raha ho kinara

Us ladakhadaati hui naav ko jo
kisi ne kinaara dikhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai,
Main jab se sharan teri aaya, mere Ram

Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya

Shital bane aag chandan ke jaisi
Raaghav kripa ho jo teri
Ujayaali poonam ki ho jaaye raate
Jo thi amaavas andheri

Yug yug se pyaasi murubhoomi ne
Jaise saavan ka sandes paaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai,
Main jab se sharan teri aaya, mere Ram

Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya

Jis raah ki manjil tera milan ho
Us par kadam main badhaoon
Phoolon me khaaron me,
patjhad bahaaro me
Mai na kabhi dag-magaoo

Paani ke pyaase ko takadir ne
Jaise ji bhar ke amrit pilaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai,
Main jab se sharan teri aaya, mere Ram

Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya
Aisa hi sukh mere man ko mila hai,
Main jab se sharan teri aaya, mere Ram

Suraj Ki Garmi Se Jalte Huye Tan Ko
Suraj Ki Garmi Se Jalte Huye Tan Ko
Suraj ki garmi se jalte hue tan ko
Mil jaaye taruvar ki chhaaya




Upcoming Festivals & Vrat 2025











The Divine News










ENहिं