Dena ho to dijiye
Janam janam ka saath
Mere sar par rakh Banwari
Mere sar par rakh Girdhari
Apne dono yeh haath
Dena ho to dijiye
Janam janam ka saath
Ab to kripa kar dijiye
Janam janam ka saath
Dene wale Shyam Prabhu se
Dhan aur daulat kya maange
Shyam Prabhu se maange to phir
Naam aur ijzat kya maange
Mere jeevan mein ab kar de
Tu kripa ki barsaat
Dena ho to dijiye
Janam janam ka saath
Mere sar par rakh Banwari
Mere sar par rakh Girdhari
Apne dono yeh haath
Dena ho to dijiye
Janam janam ka saath
Shyam tere charno ki dhuli
Dhan daulat se mahangi hai
Ek nazar kirpa ki baba
Naam ijzat se mahangi hai
Mere dil ki tamanna yahi hai,
Karoon seva teri din raat
Denaa hai to dijiye
Janm janm ka saath
Ab to kripa kar dijiye,
Janam janam ka saath
Jhulas rahe hai gham ki dhoop mein,
Pyaar ki chhiya kar de tu
Bin maajhi ke naav chale na,
Ab patvaar pakad le tu
Mera rastaa raushan kar de,
Chhaayi andhiyari raat
Dena hai to dijiye
Janam janam ka saath
Ab to kripa kar dijiye,
janam janam ka saath
Suna hai humne sharanaagat ko
Apne gale lagaate ho
Aisa humne kya maanga
Jo dene se ghabraate ho
Chaahe jaise rakh Banwari,
Chaahe jaise rakh Girdhari,
Bas hoti rahe mulaqaat
Dena ho to dijiye
Janam janam ka saath
Ab to kripa kar dijiye,
Janam janam ka saath